23 saal purane printing press ko ek tez aur sahi kaam karne wala designer chahiye.
Kaam:
1. Flex, digital, offset aur screen printing ke liye customer ke design aur artwork banana
Wedding card, visiting card, book cover, pamphlet aur flex banner ke design
Files ko print ke liye sahi karna (size, bleed, colour, Hindi aur English text)
4. Customer ko time par proof dena aur unke changes karna
5. Konica production machine par print nikalna evn ploter par cutting karna (kaam sikhaya jayega)
Aapke paas hona chahiye:
3 saal ka printing press ya design ka experience
CorelDRAW aur Photoshop achhe se (Illustrator ho to plus)
Hindi typing (Kruti Dev / Unicode) aur English typing
Apna portfolio: kam se kam 10 printing designs