Job Summary
Humein apne plant aur warehouse mein daily material handling, loading-unloading aur floor management ke liye energetic aur responsible logo ki zaroorat hai. Yeh role ground level loading unloading aur floor supervision dono ko cover karta hai. Candidate ke experience aur capability ke hisab se role assign kiya jayega.
Responsibilities
Truck, trailer aur containers se raw material aur finished goods ki loading aur unloading safely karwana aur karna. Incoming aur outgoing maal ki chalan aur invoice ke hisab se counting aur verification karna. Floor par loading unloading aur material arrangement ki supervision karna taki maal safely handle ho. Warehouse aur plant mein material ko sahi jagah organize rakhna taki koi damage na ho. Kissi bhi tarah ki damage ya shortage hone par turant management ko update karna. Loading team ke sath coordination rakhna aur time par dispatch complete karwana. Plant safety rules, safety shoes aur gloves ka strictly use karna aur floor ko saaf rakhna.
Requirements Education: 10th pass, 12th pass ya Graduate. Experience: 0 se 10 saal (Freshers aur experienced warehouse/loading supervisors dono apply kar sakte hain). 12 hours ki shift mein kaam karne ke liye physically fit aur ready hona zaroori hai. Factory, warehouse, steel ya transport operations ka basic knowledge. Chalan read karna aur basic counting aana zaroori hai. Hindi aur local language ki basic samajh.
Salary & Benefits Experience aur role ke hisab se best in-industry salary. PF, ESI aur applicable overtime (OT) benefits as per company policy. Timely salary aur secure working environment.