Job Title: Ghar Ka Kaam / House Help
Job Description:
Humein ek zimmedar aur mehnati vyakti ki zarurat hai jo ghar ke kaam ke saath baby care bhi sambhaal sake. Kaam ka time lagbhag 10 ghante ka hoga. Candidate ko safai, khana banana, aur ghar ke chhote-mote kaam ke saath bachche ki dekhbhaal bhi karni hogi.
Kaam ki zimmedariyaan:
Rozana ghar ki safai karna (jhaadu, pocha, dusting)
Khana banana (basic ghar ka khana)
Bartan saaf karna
Kapde dhona aur sukhaana
Ghar ke chhote-mote kaam dekhna
Baby care (bachche ko sambhalna, khana khilana, basic dekhbhaal)
Jaruri Baatein:
Mehnati aur imaandaar hona chahiye
Safai ka dhyaan rakhne wala ho
Khana banana aana chahiye
Baby care ka basic experience ho
Time par kaam karne ki aadat ho
Kaam ka samay: 10 ghante
Salary: ₹15,000 – ₹18,000 per month
Location: Gurgaon